us ke kuche mein gaya main so phir aaya na gaya main wahan aap ko dhunda to main paya na gaya gum hua dil mere pahlu se ki paya na gaya shayad us kuche mein ja us se phir aaya na gaya dam-ba-khud ho ke mua us ki nazakat ke sabab aah-o-nala bhi mujhe us ko sunaya na gaya us ne ek roz mein sau bar rulaya mujh ko mujh se par us but-e-khush-khu ko manaya na gaya baad ek umar ke kya tujh se kahun ai 'ghamgin' haal-e-dil us ne jo puchha to sunaya na gaya