manzar-e-subh dikhane use laya na gaya aati jati rahin shamen koi aaya na gaya raat bistar pe khule chand mein sota tha koi main ne chaha ki jagaun to jagaya na gaya ek muddat use dekha use chaha lekin wo kabhi pas se guzra to bulaya na gaya ghere rahti thi use ek jahan ki nazren phir jo dekha to wo us aan mein paya na gaya sar uthate hi kadi dhup ki yalghaar hui do qadam bhi kisi diwar ka saya na gaya tha muqarrar ki mulaqat rahegi us se wo to pahuncha tha magar mujh se hi aaya na gaya