hum bhi piyen tumhein bhi pilaen tamam raat jagen tamam raat jagaen tamam raat un ki jafaen yaad dilaen tamam raat wo din bhi ho ki un ko sataen tamam raat zahid jo apne roze se thoda sawab de mai-kash use sharab pilaen tamam raat ai qais be-qarar hai kuchh kohkan ki ruh aati hain be-sutun se sadaen tamam raat ta subh mai-kade se rahi botalon ki mang barsen kahan ye kali ghataen tamam raat khalwat hai be-hijab hain wo jal rahi hai shama achchha hai us ko aur jalaen tamam raat shab-bhar rahe kisi se ham-aghoshiyon ke lutf hoti rahen qubul duaen tamam raat dabe rahi paron se nasheman ko raat bhar kya kya chali hain tez hawaen tamam raat kata hai sanp ne hamein sone bhi do 'riyaz' un gesuon ki li hain balaen tamam raat