manzar-e-waqt ki yaksani mein baitha hua hun raat din ek si virani mein baitha hua hun koi saman-e-safar hai na masafat dar-pesh mutmain be-sar-o-samani mein baitha hua hun kabhi nayaft ka hai to kabhi kam-yaft ka gham wajh-be-wajh pareshani mein baitha hua hun kar-e-dushwar hai aaghaz se munkir jab tak kar-e-be-kar ki aasani mein baitha hua hun kal kahin rafta mein tha haal ki hairat ka asir ab kisi farda ki hairani mein baitha hua hun khair ham-zad mera dur tamashai hai shar hun aur fitrat-e-insani mein baitha hua hun jism hun aur nafas thahra hai zamin mera saat-e-umr ki nigrani mein baitha hua hun ek bazar-e-tilismat hai jis ke andar jeb-e-khali teri arzani mein baitha hua hun reg-ta-reg hun phaila hua sahra ki tarah aur sarabon ki farawani mein baitha hua hun aisa sannata hai aawaz se haul aata hai ek bayaban sa bayabani mein baitha hua hun na main bilqis ki ho shahr-e-saba ki khwahish na gham-e-takht-e-sulaimani mein baitha hua hun