un se do aankh se aansu bhi bahae na gae

un se do aankh se aansu bhi bahae na gae
qabr-e-ashiq ke nishan bhi to mitae na gae

hum mite bhi to mite khak jo hasrat na miti
hum gae bhi to gae kya jo bulae na gae

bazm-e-dushman mein abhi the abhi apne ghar mein
aa ke yun baithe ki jaise kahin aae na gae

barq kahiye ki chhalawa jo chamak dikhla kar
is tarah aae ki aae bhi aur aae na gae

hain wo 'ashiq' ki jagah pa ke na nikle dil se
yaad aae to junun mujh se bhulae na gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close