manzar jhalakte chand ka kitna hasin tha us ki qaba ki tarah wo baadal mahin tha hairan hai mujh ko dekh ke kyun tutta darakht main ug raha hun ab ki main zer-e-zamin tha ab khul gaya hai mujh se to had se guzar gaya warna wo dekhne mein to behad matin tha main hosh-mand rah ke bhi nadan hi raha jazbaat mein wo bah ke bhi kitna zahin tha tujh ko raha na apne zar-e-gham ka e'timad warna ye dil to dard-e-jahan ka amin tha 'arif' zaban us ki na deti thi dil ka sath inkar kar ke aaega mujh ko yaqin tha