manzar kai barish se zamin par utar aae

manzar kai barish se zamin par utar aae
pedon ki tarah logon ke chehre nikhar aae

mohkam na zamin se ho talluq hi jadon ka
us ped pe aae bhi to kaise samar aae

paspai nahin hai to hai pachhtawa yaqinan
hum log jo manzil se bhi aage guzar aae

shayad kisi mahrumi ka izhaar hua hai
mazmun mohabbat ke jo sheron mein dhar aae

makhluq samajh baithe na is ko koi tairak
jo sath pe pani ki kabhi lash ubhar aae

ho kar nazar-andaz jiya kab 'wali' tera
kahna wo sarapa-e-tajassus agar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close