KHushbu-e-pairahan se sulagte rahe dimagh

khushbu-e-pairahan se sulagte rahe dimagh
aai shab-e-firaq to gul ho gae charagh

dil ki lagi bhadak ke nigahon tak aa gai
palkon pe sham-e-wasl jalae hain dil ke dagh

us chashm-e-mai-farosh se hangam-e-naw-nosh
phuta wo sail-e-nur ki lau de uthe ayagh

wo gul khilen ki jin ki mahak la-zawal ho
is ek din mein hum ne sajae hain kitne bagh

aakhir khula ki tu hai mere ghar ki raushni
yun to tere baghair bhi jalte rahe charagh

jab chashm-o-dil bujhe to shabistan-e-shauq mein
hum ne hatheliyon pe jalae hain shab charagh

jo wadi-e-jamal mein gum ho gae 'jamil'
apni talab ke sath hi un ka bhi kuchh suragh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close