manzar se hain na dida-e-bina ke dam se hain sab moajaze tilism-e-tamasha ke dam se hain mitti to samne ka hawala hai aur bas kuze mein jitne rang hain dariya ke dam se hain kya aisi manzilon ke liye naqd-e-jaan ganwaen jo khud hamare naqsh-e-kaf-e-pa ke dam se hain ye sari jannaten ye jahannam azab o ajr sari qayamaten isi duniya ke dam se hain hum sare yaadgar-e-zamin-o-zamana log ek sahab-e-zamin-o-zamana ke dam se hain