hawa mahak uthi rang-e-chaman badalne laga wo mere samne jab pairahan badalne laga baham hue hain to ab guftugu nahin hoti bayan-e-haal mein tarz-e-sukhan badalne laga andhere mein bhi mujhe jagmaga gaya hai koi bas ek nigah se rang-e-badan badalne laga zara si der ko barish ruki thi shakhon par mizaj-e-sosan-o-sarw-o-saman badalne laga faraaz-e-koh pe bijli kuchh is tarah chamki libas-e-wadi-o-dasht-o-daman badalne laga