manzar se udhar khwab ki paspai se aage main dekh raha hun had-e-binai se aage ye 'qais' ki masnad hai so zeba hai usi ko hai ishq sarasar meri danai se aage shayad mere ajdad ko malum nahin tha ek bagh hai is dasht ki ranai se aage sab dekh rahi thi pas-e-diwar tha jo kuchh thi chashm-e-tamashai tamashai se aage hum qafiya-paimai ke chakkar mein pade hain hai sinf-e-ghazal qafiya-paimai se aage ek din jo yunhi parda-e-aflak uthaya barpa tha tamasha koi tanhai se aage mujh kaghzi kashti pe nazar kijiye 'azar' badhti hai jo lahron ki tawanai se aage