wo nichi nigahen wo haya yaad rahegi mil kar bhi na milne ki ada yaad rahegi mumkin hai mere baad bhula den mujhe lekin ta umr unhen meri wafa yaad rahegi jab main hi nahin yaad rafiqan-e-safar ko hairan hun ki manzil unhen kya yaad rahegi kuchh yaad rahe ya na rahe zikr-e-gulistan ghunchon ke chatakne ki sada yaad rahegi mahrum rahe ahl-e-chaman nikhat-e-gul se be-ganagi-e-mauj-e-saba yaad rahegi palkon pe larazte rahe 'anwar' jo shab-e-gham mujh ko unhin taron ki ziya yaad rahegi