manzar shamshan ho gaya hai dil qabristan ho gaya hai ek sans ke baad dusri sans jina bhugtan ho gaya hai chhu aae hain hum yaqin ki sarhad jis waqt guman ho gaya hai sargoshiyon ki dhamak hai har-su ghul kanon-kan ho gaya hai wo lamha hun main ki ek zamana mere dauran ho gaya hai sau nok-palak palak-jhapak mein uqda aasan ho gaya hai manzil wo kham-e-safar hai jis par chori saman ho gaya hai ek marhala-e-kashakash-e-fan wajh-e-imkan ho gaya hai kaghaz pe qalam zara jo phisla izhaar-e-bayan ho gaya hai paida hote hi aadmi ko lahaq nisyan ho gaya hai pili aankhon mein zard sapne shab ko yarqan ho gaya hai saude mein ghazal ke faeda 'saz' kaisa nuqsan ho gaya hai