kanar-e-ab hawa jab bhi sansanati hai nadi mein chupke se ek chikh dub jati hai dikhai deti hain lashen hi lashen aangan mein kahan se khud-kushi kar ke ye dhup aati hai wo shai jo baithti hai chhup ke nange pedon mein guzarte waqt bahut taliyan bajati hai piyun sharab main dushman ke kasa-e-sar mein ye buzdil aarzu kaisi hansi udati hai 'musawwir' us ko batate hain zaniya ye log kuen mein apni jo sab nekiyan giraati hai