manzil bhi milegi raste mein tum rahguzar ki baat karo aaghaz-e-safar se pahle kyun anjam-e-safar ki baat karo zalim ne liya hai sharma kar phir gosha-e-daman chutki mein hai waqt ki tum bebaki se ab dida-e-tar ki baat karo aaya hai chaman mein mausam-e-gul aai hain hawaen zindan tak diwar ki baaten ho lengi is waqt to dar ki baat karo hai tez hawa hilta hai qafas khatre mein padi hai har tili fariyaad-e-asiri band karo ab jumbish-e-par ki baat karo kyun dar-o-rasan ke sae mein mansur ki baaten karte ho rakhna hai jo uncha sar apna to apne hi sar ki baat karo kyun ahl-e-junun arbab-e-khirad ki mahfil mein khamosh rahen wo apne hunar ki baat karen tum apne hunar ki baat karo kya barbat-o-daf dam tod chuke maut aa gai kya har naghme ko tum mutrib-e-jam-o-mina ho kyun tegh o sipar ki baat karo