manzil dikha ke rahrawi saunp di gai

manzil dikha ke rahrawi saunp di gai
yani ki gham mila ke khushi saunp di gai

banta hi ja raha tha ana ka sawal wo
achchha hua jo us ki kami saunp di gai

baad az firaq aur hi manzar ayan hue
aansu piye to khub hansi saunp di gai

duniya ko mere dil se charaghan kiya gaya
had hai mujhi ko tira-shabi saunp di gai

ai yar dekh wo to bade khush-nasib the
jin ki nazar ko did teri saunp di gai

mere junun ko de ke safar koh-e-qaf ka
ek aur shakhs ko wo pari saunp di gai

ye duriyon ki baat to bachchon si baat thi
jun hi jawan ho ke pali saunp di gai

dard-e-shab-e-firaq sada un ki khair ho
jin ko pila ke tishna-labi saunp di gai

hum log jo badon ke mukhalif the is liye
be-faiz daur jhuti sadi saunp di gai

na-mumkinat mein thi koi chahat-e-nihan
padhne laga jo nad-e-ali saunp di gai

meri hayat jaise kisi thal ki garmiyan
us bewafa ko sair meri saunp di gai

'eajaz' kal daraaz se nikle kai khutut
rahat si ek dard-bhari saunp di gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close