jab se bana liya tujhe parwardigar yar aati hai har taraf se sada yar yar yar ye hijr ye firaq hain qisse kahaniyan jaane kahan gae hain sabhi dur par yar tu hum ko chhod-chhad ke arshon pe ja basa hum ab bhi kar rahe hain tera intizar yar wo husn-e-be-misal nazar aa gaya mujhe dekha basaraton se pare bar bar yar wo dhadkanon ki ot mein karta hai guftugu mujh mein basa hua hai mere aar-par yar daman ko tar kar ke koi qais ho gaya meri taraf bhi dekh badan tar-tar yar jo ahlyan-e-ishq the jaane kidhar gae ab to bache hain jhut ke qaul-o-qarar yar ai yar dekh suraten viran ho gain marne pe aa gae hain tere sogwar yar yaran-e-dardmand ne khushiyon ki di sada dekha gaya na un se koi ashk-bar yar 'eajaz' wo juda to hua tha gaya nahin main roz mar raha hun magar qist-war yar