manzil ho koi zauq-e-safar apni jagah hai hum apni jagah rahguzar apni jagah hai ye bhi to ghanimat hai ki hum zinda hain ab tak is shahar-e-fasadat mein ghar apni jagah hai tanqid ka darwaza bahr-e-haal khula hai har dawa-e-arbab-e-hunar apni jagah hai har bazm mein lazim hi sahi baithna uthna is ka bhi tayyun ho kidhar apni jagah hai kya faisla kar jaega achchhe ka bure ka har shakhs ka meyar-e-nazar apni jagah hai aa jaen kisi mod pe haalat bashar ke kuchh bhi sahi ehsas magar apni jagah hai hum apni rawish ko kabhi 'iqbaal' na badlen neki ka hai jo ajr magar apni jagah hai