nai aadmi pasand na usko KHuda pasand

nai aadmi pasand na us ko khuda pasand
hai aaine mein qaid mera aaina pasand

wo chaar din bhi hum se nibahi nahin gai
wo moatadil-mizaj tha main intiha-pasand

wo khud-fareb shakhs tha patthar shanas tha
aaya na us ko koi bhi apne siwa pasand

jab koi farq shahid-o-mashhud mein nahin
kaise kare kisi ko koi dusra pasand

puchhe hai hum ne kahe kiya kufr ikhtiyar
ghaflat pasand hai na hamein aasra pasand

kholi hai jab se aankh kabhi so nahin sake
kyunki hamein hai khwab mein bhi jagna pasand

main bhi ye barg-e-sabz bhi mahi bhi murgh bhi
bandhe hue hain maut ne sare hawa pasand

kharij ki baat aankh se aage ki thi magar
sab qaidiyon ko rauzan-e-diwar tha pasand

'akash' ek shakhs hai auron se mukhtalif
pahli nazar mein hi tumhein aa jaega pasand


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close