manzil kahan hai dur talak raste hain yar kis justuju mein khwab ke ye qafile hain yar pal pal badalta rahta hai tahzib ka mizaj lamhon ki dastaras mein ajab silsile hain yar hai sabiqa hazar marahil se aur phir is zindagi ke baad bhi kuchh marhale hain yar tu hi bata tujhe main rakhun kis shumar mein achchhe-bure sabhi se mere rabte hain yar han tujh se bewafai ki ummid to nahin par sach kahun to dil mein kai wahime hain yar khwahish ka ehtiram hai jazbon ki aanch bhi nindon ka ehtimam hai aur ratjage hain yar nazmen kahan hain falsafe manzum hain tamam ghazlen kahan hain ishq ke sab marsiye hain yar ahbab rishte-dar sabhi mumbai mein hain lekin dilon ke beach bade fasle hain yar