koi sazish racho zer-o-zabar ki baat mat socho

koi sazish racho zer-o-zabar ki baat mat socho
riya-karon mein tum apne hunar ki baat mat socho

ye hijrat thi muqaddar lazmi tha chhutna sab kuchh
marasim rabte ghar aur nagar ki baat mat socho

sabab koi bhi ho lekin lahu taqsim hona tha
ye sarhad hai idhar tum ho udhar ki baat mat socho

yahi ek kothari apne liye aangan hai baithak hai
agar is shahr mein jina hai ghar ki baat mat socho

tumhaare sare mansubon ka naslon par ahata hai
sada aati hai umr-e-mukhtasar ki baat mat socho

mizajon par garan ho koi lekin rabta rakhna
yahi tahzib hai is se mafar ki baat mat socho

ye mumkin hai khizan ke baad bhi mausam na ras aae
to aisa bhi nahin barg-o-samar ki baat mat socho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close