manzil ke dur dur tak aasar tak bhi nahin main rah mein thaharne ko tayyar bhi nahin haalat kah rahe hain ki is daur-e-nau ke log soe hue nahin hain to bedar bhi nahin mujh ko agar padha to bhula paega na wo main har nazar mein subh ka akhbar bhi nahin jo dusron ke ghar mein ujala na kar sake main aisi raushni ka talabgar bhi nahin 'nazir' mata-e-dil ye kahan le ke aa gae pahli si ab wo garmi-e-bazar bhi nahin