apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya chand ne pani mein dekha aur pagal ho gaya wo hawa thi sham hi se raste khali ho gae wo ghata barsi ki sara shahr jal-thal ho gaya main akela aur safar ki sham rangon mein dhali phir ye manzar meri nazron se bhi ojhal ho gaya ab kahan hoga wo aur hoga bhi to waisa kahan soch kar ye baat ji kuchh aur bojhal ho gaya husn ki dahshat ajab thi wasl ki shab mein 'munir' hath jaise intiha-e-shauq se shal ho gaya