manzil ke khwab dekhte hain panw kat ke kya sada-dil ye log hain ghar ke na ghat ke ab apne aansuon mein hain dube hue tamam aae the apne khun ka dariya jo pat ke shahr-e-wafa mein haqq-e-namak yun ada hua mahfil mein hain lage hue paiwand tat ke khinchti thi jin ke khauf se sadd-e-sikandari soe nahin hain aaj wo diwar chat ke ab to darindagi ki nash bhi husn hai diwar par sajate hain sar kat kat ke