mera shuur mujh ko ye aazar de gaya suraj ki tarah dida-e-bedar de gaya har phul ek sharar hai to har shakh ek barq jannat ka khwab dozakh-e-gulzar de gaya lab-bastagi mein hasrat-e-guftar jag uthi khauf-e-sukut jurat-e-izhaar de gaya jalta hun apni aag mein khurshid ki tarah kaisi saza ye shoala-e-pindar de gaya mahw-e-sukhan tha main ki mera aks hans pada aaine se nikal ke ye ashaar de gaya