manzil na de charagh na de hausla to de tinke ka hi sahi tu magar aasra to de main ne ye kab kaha ki mere haq mein ho jawab lekin khamosh kyon hai koi faisla to de barson main tere nam pe khata raha fareb mere khuda kahan hai tu apna pata to de be-shak mere nasib pe rakh apna ikhtiyar lekin mere nasib mein kya hai bata to de main khud hi kho gaya tujhe pane ki fikr mein ab ai gham-e-hayat koi rasta to de