manzil-o-samt-e-safar se be-KHabar na-ashna

manzil-o-samt-e-safar se be-khabar na-ashna
ham-safar mujh ko mila kaisa safar na-ashna

sare hi chehre sabhi diwar-o-dar na-ashna
lag raha hai mujh ko sara hi nagar na-ashna

shama ek na-mahram-e-asrar-e-shab hangam-e-sham
ek sitara aakhir-e-shab aur sahar na-ashna

mauj-e-tez-o-tund se athkheliyan karti hui
apne barg-o-bar se shakh-e-shajar na-ashna

ye to duniya hai badalti rahti hai us ki nazar
jis qadar ye aashna hai us qadar na-ashna

us nigah-e-naz ko apni taraf samjha kiye
munkashif phir ye hua hum the nazar na-ashna

kya jhukega ab kisi ke dar pe 'mohsin' apna sar
zindagi bhar to raha sajde se sar na-ashna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close