kabhi kabhi jo wo ghurbat-kade mein aae hain mere bahe hue aansu jabin pe lae hain na sarguzisht-e-safar puchh mukhtasar ye hai ki apne naqsh-e-qadam hum ne khud mitae hain nazar na tod saki aansuon ki chilman ko wo roz agarche mere aaine mein aae hain us ek shama se utre hain baam-o-dar ke libas us ek lau ne bade phul-ban jalae hain ye dopahar ye zamin par lipa hua suraj kahin darakht na diwar-o-dar ke sae hain kali kali mein hai dharti ke dudh ki khushbu tamam phul usi ek man ke jae hain nazar khalaon pe aur intizar be-wada ba-in amal bhi wo aankhon mein jhilmilae hain fusun-e-sher se hum us mah-e-gurezan ko khalaon se sar-e-kaghaz utar lae hain risala hath se rakhte na kyun wo sharma kar ghazal padhi hai to hum samne bhi aae hain chale hain khair se un ko pukarne 'danish' magar wo yun to na aaenge aur na aae hain