manzil pe pahunch kar bhi manzil nahin pate ho tum kaise musafir ho rukte ho na jate ho aae na ayaadat ko jab sans thi kuchh baqi marne pe aqidat ke kyon phul chadhate ho pahle meri nafrat par mail-ba-karam the tum ab meri mohabbat par barham nazar aate ho mai-noshi ka phir mujh par ilzam na aa jae aankhon mein liye masti kyon samne aate ho 'ambar' to azal se hi ruswa-e-zamana hai kyon aur use apni nazron se giraate ho