manzil pe pahunchne ka mujhe shauq hua tez rasta mila dushwar to main aur chala tez hathon ko dubo aae ho tum kis ke lahu mein pahle to kabhi itna na tha rang-e-hina tez mujh ko ye nadamat hai ki main sakht-gulu tha tujh se ye shikayat hai ki khanjar na kiya tez chal main tujhe raftar ka andaz sikha dun ham-rah mere sust-qadam mujh se juda tez afsurdagi-e-gul pe bharin kis ne ye aahen chalti hai sar-e-sahn-e-chaman aaj hawa tez ab mujh ko nazar pher ke ek jam de saqi phir kaun sambhaalega agar nashsha hua tez insan ke har gham pe 'saba' chot lagi hai shishe ke chatakhne ki bhi thi kitni sada tez