lahu mein duba hua pairahan chamakta hai sulagti ret par ek gul-badan chamakta hai sitare bujhte chale ja rahe hain khemon mein bas ek charagh sar-e-anjuman chamakta hai zaif chun to raha hai jawan lashon ko magar nigah mein ek bankpan chamakta hai ye kaise phul jhade shir-khar honton se ki jin ke nur se sara chaman chamakta hai ye kaun mah-e-munawwar asir hai 'shahzad' ye kis ka halqa-e-tauq-o-rasan chamakta hai