manzilen na bhulenge rah-rau bhatakne se shauq ko talluq hi kab hai panw thakne se zindagi ke rishte bhi dur dur tak nikle ruh jag uthti hai phul ke mahakne se kitne tir khae hain kitne gham uthae hain baz hi nahin aata dil magar dhadakne se ek saghar-e-labrez aur surat-e-suqraat jawedan nahin hote sirf zahr chakhne se kar-e-ashiyan-bandi aur ho gaya mahbub jauhar-e-talab chamka bijliyan kadakne se garm ho ke pachhtae baad-e-tund ke jhonke raushni charaghon ki badh gai bhadakne se ai adib-e-pur-goi farz to nahin koi kya bari hai khamoshi ol-fol bakne se