ek khalish ko hasil-e-umr-e-rawan rahne diya jaan kar hum ne unhen na-mehrban rahne diya aarzu-e-qurb bhi bakhshi dilon ko ishq ne fasla bhi mere un ke darmiyan rahne diya kitni diwaron ke sae hath phailate rahe ishq ne lekin hamein be-khanuman rahne diya apne apne hausle apni talab ki baat hai chun liya hum ne tumhein sara jahan rahne diya kaun is tarz-e-jafa-e-asman ki dad de bagh sara phunk dala aashiyan rahne diya ye bhi kya jine mein jina hai baghair un ke 'adib' shama gul kar di gai baqi dhuan rahne diya