manzilon ka main pata bhi dunga khud ko raste se hata bhi dunga itna ehsan-faramosh nahin bewafai ka sila bhi dunga apni hasrat to wo puri kar le dushman-e-jaan ko dua bhi dunga pahle darwaze pe dastak de lun phir ye diwar gira bhi dunga zindagi jurm to aaed kar de be-gunahi ko saza bhi dunga qatl bhi main hi karunga khud ko aur phir khun-baha bhi dunga aag bhadkegi 'tabassum' apni yani shoalon ko hawa bhi dunga