apna apna dukh batlana hota hai mitti se taswir mein aana hota hai meri subh zara kuchh der se hoti hai mujhe kisi ko khwab sunana hota hai nae nae manzar ka hissa banta hun jaise jaise jism purana hota hai ek chidiya mujh se bhi pahle uthti hai jaise us ko daftar jaana hota hai yar kitaben kitni jhuti hoti hain in mein koi aur zamana hota hai ghar ke andar itni galiyan padti hain kabhi-kabhaar hi bahar jaana hota hai