maqam-e-abd pe pahunche aur aabdida hue to 'asiyan-e-zamana bhi barguzida hue mubarazat ki sadaen thin jis ke dam-kham se wo tegh kund hui aur sukhan qasida hue faqir-e-shahr to kasa-ba-dast hai lekin tamam shahr ke faiyyaz yad-burida hue kisi ko izn-e-takallum nahin hai majlis mein tha jin ko zoam-e-sukhan harf-e-na-shunida hue is ehtiyat se khanjar ne dast-kari ki shikan qaba pe na aai badan darida hue ye kis ke dast-e-mohabbat ne chhu liya hum ko azal ke hijr-gazid aaj aarmida hue kitab-e-umr se kuchh nam mit gae lekin tumhaare nam ke sab harf khat-kashida hue jo teri bazm mein raqsan the josh-e-waslat se wo dasht-e-hijr mein aahu-e-na-ramida hue