tujh ko chhua to ghaaliya-sai nahin gai hathon se bu-e-nafa-kushai nahin gai ab zindagi ne rah mein makhmal bichha diye lekin hamari aabla-pai nahin gai tujh se bichhad ke hum ko zamana hua magar lahje se ab bhi nauha-sarai nahin gai tujh ko ganwa ke laute the ek sham ghar ko hum ab tak wo sham hum se bhulai nahin gai phir hum ne tere baad bhi ek umr kat li pahle-pahal to sham bitai nahin gai apna bhi ishq masnawi sahr-ul-bayan hai lekin ye dastan sunai nahin gai