maqam-e-adamiyat imtihan ki manzil hai

maqam-e-adamiyat imtihan ki manzil hai
kisi ke waste aasan kisi ko mushkil hai

nahin fareb-e-khulus aur khulus mein koi farq
ba-yak nigah karen imtiyaz mushkil hai

yahin se raste imkan ke nikalte hain
hamara qalb-e-musaffa ek aisi manzil hai

mera rafiq talawwun-mizaj hai apna
kabhi hai barq tadapti hui kabhi dil hai

yahi wo dil hai jo be-maut marta hai hamein
hamare sine ke andar hamara qatil hai

hamare azm pe mauquf hai qiyam-e-safar
chalen to rasta hai ruk gae to manzil hai

zaban se kyon kahe wo baat dil ki tu jo sune
khamosh is liye har waqt tera sail hai

charagh kaun jalata hai chaudhwin shab mein
hamari bazm ki qindil mah-e-kaamil hai

sukun nasib ba-zahir mujhe magar 'akmal'
watan ke waste sine mein dil to bismil hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close