maqam-e-admi kuchh kam nahin hai farishton se to kam aadam nahin hai abhi dil jal raha hai aa bhi jao ujala chand se maddham nahin hai hamari zat par ungli uthae zamane mein abhi wo dam nahin hai udata hai hawa mein kyon diwane ye daman hai koi parcham nahin hai teri marzi hai saqi jis qadar de hamein to fikr-e-besh-o-kam nahin hai buton ki bandagi mein kaun jaane kahan hai kham kahan sar kham nahin hai unhen gar naz hai apni pahunch par to meri bhi rasai kam nahin hai koi kyon gham-gusar 'mehr' hoga zamana monis-o-hamdam nahin hai