maqam-e-zat kya hai lan-tarani kis ko kahte hain

maqam-e-zat kya hai lan-tarani kis ko kahte hain
khuda hi jaanta hai did-bani kis ko kahte hain

bana jab main sana-khwan-e-mohammad to khula mujh par
karam shafqat inayat mehrbani kis ko kahte

husain ibn-e-ali ne ahal-e-maktab ko bataya hai
sinan ki nok par quran-khwani kis ko kahte hain

agar dariya se hi us ki wazahat ho nahin pai
to pyasa kya bataega ki pani kis ko kahte hain

jo khud ko daiyan-e-hurriyat kahte nahin thakte
unhen puchhen zara burhan-wani kis ko kahte hain

tumhaari aankh par aaya sawal urdu ke parche mein
batao lajawrdi arghawani kis ko kahte hain

uthaya dosh-e-mizhgan par jo bar-e-khwab to jaana
girani kya bala hai na-tawani kis ko kahte hain

abhi aa jaenge le kar sabhi asbab mahshar ke
main yunhi puchh baitha tha jawani kis ko kahte hain

sahar se peshtar jis ki basarat chhin gai 'arshad'
wahi samjha sakega raegani kis ko kahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close