main baDhata ja raha tha is liye daftar ki baat

main badhata ja raha tha is liye daftar ki baat
beach chaurahe mein lai ja rahi thi ghar ki baat

ab to apni guftugu hoti hai us se is tarah
jaise ek matahat se hoti hai ek afsar ki baat

aalam-e-maujud se bahar nikal ke sochiye
gumbad-e-be-dar ki baaten aur pas-e-manzar ki baat

shairi ne baat kahne ki suhulat di mujhe
warna main bahar na la pata kabhi andar ki baat

shah aur begam ki baaten ho chuki hon khatm to
kijiye haalat ke mare hue joker ki baat

ijtima-e-khas mein us ka mujhe kahna 'aziz'
main samajhta hun ye hai mere liye honour ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close