maqbul-e-awam ho gaya main goya ki tamam ho gaya main ehsas ki aag se guzar kar kuchh aur bhi kham ho gaya main diwar-e-hawa pe likh gaya wo yun naqsh-e-dawam ho gaya main patthar ke panw dho raha tha pani ka payam ho gaya main udta hua aks dekhte hi phaila hua dam ho gaya main