maqsad-e-husn hai kya chashm-e-basirat ke siwa wajh-e-takhliq-e-bashar kya hai mohabbat ke siwa khun-e-dil thukte phirte hain jahan mein shair kya mila shahr-e-sukhan mein unhen shohrat ke siwa aaj bhi ilm-o-fan-o-sher-o-adab hain pamal ba-kamalon ko mila kuchh na ihanat ke siwa hath mein jin ke khushamad ka hai gadla kashkol un ko eazaz bhi mil jaenge izzat ke siwa raat din ranj hai is baat ka sab ko khaliq arsa-e-hashr mein kya laen nadamat ke siwa ye mashinon ki chaka-chaund ye daur-e-alat is mein har chiz muqaddar hai murawwat ke siwa ghota-zan hum rahe kasrat ke samundar mein fuzul kaun ye pyas bujhae teri wahdat ke siwa kya zamane mein diya tu ne aqidat ka maal hum ko ranj-o-gham-o-andoh-o-musibat ke siwa hum jo apnaen zamane mein tawakkul yarab bab khul jaenge hum par teri rahmat ke siwa jab utarti hon sar-e-arsh se aayat-e-junun kaun ho khaliq-e-ashaar mashiyyat ke siwa kitne hatim mile 'gulzar' zamane mein hamein wo ki har chiz ke wasif the sakhawat ke siwa