mohr ban kar jo main ek roz bhi ubhra hota barf ki tarah hai jo shakhs wo dariya hota tujh se dilkash hai kahin tere tasawwur ka jahan tu mere pas bhi hota to main tanha hota apne mahaul ko har phul ne mahkaya hai mujh ko hona tha kisi ka to main apna hota puchhta kaun hai sipi mein chhape moti ko jo tere dil mein tha honton pe bhi aaya hota kis ne rakkha hai mere sar pe kadi dhup mein hath chhat jo hoti to mere ghar mein bhi saya hota yun guzarta na tere sar se ye pani 'khawar' tu ne tufan ko uthte hi jo roka hota