maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya us tak ye dil-kharash khabar kaun le gaya chehre pe gard-e-rah bhi baqi nahin rahi mujh se mera subut-e-safar kaun le gaya ras aa chali thi dil ki faza-e-junun-e-shauq bahka ke mujh ko dasht se ghar kaun le gaya be-laus dosti ke zamane kahan gae sarmaya-e-khulus-e-bashar kaun le gaya ye dekhne ki koi zarurat nahin rahi kis ka hunar tha dad-e-hunar kaun le gaya ghar se nikal pade hain to ab kya ye dekhna raste se saya-dar shajar kaun le gaya dariya wahi hai us ki rawani wahi magar ru-posh tha jo tah mein guhar kaun le gaya aamal apne dekh ke ye tajziya bhi kar 'nazir' teri dua se asar kaun le gaya