mar dalegi hamein ye khush-bayani aap ki maut ka paigham aaega zabani aap ki zindagi kahte hain kis ko maut kis ka nam hai mehrbani aap ki na-mehrbani aap ki baad-e-murdan khinch laya jazb-e-dil sine pe hath ek anguthi mein jo pahne tha nishani aap ki badh chuka qad bhi farogh-e-husn ki had ho chuki ab to qabil dekhne ke hai jawani aap ki aap se mil ke gale rahat se aa jati hai nind sabza-e-khwabida hai poshak dhani aap ki rang aalam ka badalna aap ke sadqe mein hai jama kar rakkhi thin poshaken purani aap ki aankhon par bandhwai patti ta na dekhun aur ko mar gaya main par wahi hai bad-gumani aap ki jab wo mujh ko dekhta hai hans ke kahta hai 'rashid' kitni paband-e-wafa hai zindagani aap ki