nikal ke halqa-e-sham-o-sahar se jaen kahin zamin ke sath na mil jaen ye khalaen kahin safar ki raat hai pichhli kahaniyan na kaho ruton ke sath palatti hain kab hawaen kahin faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya mujhe talash na karti hon ye balaen kahin hawa hai tez charagh-e-wafa ka zikr to kya tanaben khema-e-jaan ki na tut jaen kahin main os ban ke gul-e-harf par chamakta hun nikalne wala hai suraj mujhe chhupaen kahin mere wajud pe utri hain lafz ki surat bhatak rahi thin khalaon mein ye sadaen kahin hawa ka lams hai panw mein bediyon ki tarah shafaq ki aanch se aankhen pighal na jaen kahin ruka hua hai sitaron ka karwan 'amjad' charagh apne lahu se hi ab jalaen kahin