mar gaya gham mein tere hae mein rota rota jeb-o-daman ke tain ashk se dhota dhota ghair-az-khar-e-sitam kuchh na uga aur kahin kisht-e-ulfat mein phira ashk mein bota bota rafta rafta hua aakhir ke tain ko muflis naqd ko umr ki main hijr mein khota khota garche farhad tha aur qais junun mein mashhur ek din main bhi pahunch jaunga hota hota chaunk 'asif' ne banaya ajab apna ahwal uth gaya pas sin to subh jo sota sota