bashar roz-e-azal se shefta hai shan-o-shaukat ka

bashar roz-e-azal se shefta hai shan-o-shaukat ka
anasir ke muraqqe mein bhara hai naqsh daulat ka

azal ke din se gham mushtaq tha jo meri khilqat ka
banaya aansuon se gundh kar putla kudurat ka

muqaddar ne diya hai hath mein kasa halakat ka
gada hun us pari-paikar ka jo tukda hai aafat ka

rahe sina-sipar har-dam ye jauhar hai mohabbat ka
kabhi loha na mana yar ki tegh-e-adawat

dikhaya us ne ban-than kar wo jalwa apni surat ka
ki pani phir gaya aaine par dariya-e-hairat ka

khuda aabaad rakkhe lucknow ke khush-mizajon ko
har ek ghar khana-e-shadi hai har kucha hai ishrat ka

shab-e-waslat to jate jate andha kar gai mujh ko
tum ab bahra karo sahab suna kar nam rukhsat ka

mare jis par na chaar aansu bahae us ne murde par
hua sabit ki pani bah gaya chashm-e-murawwat ka

jalae dost ya thanda kare dil jo raza us ki
na dozakh se mujhe nafrat na main mushtaq jannat ka

na hoga farq nuqte ka mila kar dekh le koi
mere aamal-name se nawishta meri qismat ka

jo shamil hai karam us ka to kya gham kisht-e-uqba ka
siyah-nami se apne kaam lunga abr-e-rahmat ka

khuda ne di hai lazzat gham-khuri ki khush-mazaqon ko
lahu ki ghunt pine mein maza milta hai sharbat ka

har ek taswir hai sani-e-yusuf apne aalam mein
zara yaqub dekhe to muraqqa us ki qudrat ka

yad-e-baiza ke daste aage aage le chale musa
shab-e-mearaj ko raushan hua haal us ki azmat ka

ziyaada chand suraj se tera nur aashkara hai
na dekhen tera jalwa hum qusur apni basarat ka

wo aalam hai na gham se gham na shadi se mujhe shadi
barabar mere mizan mein hai palla ranj-o-rahat ka

tumhaari fitna-e-qamat ne aisa roab bandha hai
qadam-bhar bhi qadam aa ke nahin badhta qayamat ka

shahidan-e-khuda mujh ko bhi thodi se jagah dena
na ho barbaad meri khak sadqa apni turbat ka

shab-e-wasl-e-sanam ka khatma bil-khair ho yarab
na aankhon par kahin phir jae chuna subh-e-furqat ka

halawat zindagi ki hai mulaqat-e-ahibba mein
maza murde ko tanhai ka hai zinde ko sohbat ka

maza ishq-e-haqiqi mein na kuchh ishq-e-majazi mein
khuda se gham dui ka hai sanam se ranj furqat ka

chhuri na-qadrdanon ki rawan hai ahl-e-jauhar par
kafan ko yaad karna 'bahr' dhyan aae jo khilqat ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close