mar ke tuta hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat magar itna hai ki zanjir badal jati hai asar-e-ishq taghaful bhi hai bedad bhi hai wahi taqsir hai tazir badal jati hai kahte kahte mera afsana gila hota hai dekhte dekhte taqdir badal jati hai roz hai dard-e-mohabbat ka nirala andaz roz dil mein teri taswir badal jati hai ghar mein rahta hai tere dam se ujala hi kuchh aur mah o khurshid ki tanwir badal jati hai gham nasibon mein hai 'fani' gham-e-duniya ho ki ishq dil ki taqdir se tadbir badal jati hai